Saturday, July 7, 2018

कैसे कैसे ?

Kaisey...
Munasib nhi ki aap mere shaksiyat se milen...
Kahin toot kar bikhar gaye toh kya hoga...!
Sher o shayari ki is duniya me jub bhi kadam rakkhiye toh kuch taar ese jud jaten hain ki malum hi nhi hota alag se aye hain. Ye kahani bhi shuru hue kitabon ke ird gird or isko bunne wali thi ek masoom si ladki jo padhne likhne me bhut achi na thi per padhai se mohobbat si thi. Or ho bhi q na uske parivar me padhai ko mahatv bhi utni di jati thi jitni bhojan me namak... Jara sa idhar udhar mano pura din kharab ho gaya. Natkhat , chulbuli lekin gambheer or shant swabhav ki wo alhad si ladki ankho per najar ka chasma sawla sa rang choti kad me or bhut chanchal ankhen... Muskurati toh mano bachpan wapas ji liya ho. Umra toh yakeen nhi krenge 23 saal or lgti choti si thi. Khair padhne me jo rujhan sa tha ki ghar ke sare kaam pade reh jate or wo kitabi kida bani rehti... Majak masti thithkoliya bhati thi lekin kuch raaj the jo madur si muskaan ke peeche dabe se reh gye the...

Baat un dino ki hai jub wo pustakalay me bethi kitabon me jhank rahi thi ki achank uska dhyaan toota jub kisi ne kitabon se bhara bag table per ja feka... Ye kesa paapi insaan hai jisko kitabon se lagao nahi, na jane ese log jeevit kese rehte hain...
Mann me budbudati us ladke ko piche se dekhti hue kose ja rhi thi wo. Mano uth kar aab thappad maar hi degi. Lekin jyon us ladke ne palat kar kitaab ko khola uski najar samne bethi us choti si ladki per padi jiske saath wo bachpan me school jaya karta tha.
Arey tum , haan tum, kesi ho ? Ladke ne pucha , ladki ne jawab me kaha achi hun per me aapko pehchan nahi paai... Aap kon ?
Arey me Ankush jo tumhara seat partner tha , tumhara tiffin kha leta tha , kuch yaad aya mota sa ghungrale baal... Tum Sulekha hi ho na...
Haan me Sulekha hi hun... Acha moteeeee tu... Ek dum se yaad aya ki ye toh wahi hai jo mere saath school me rehta tha.
Baton baton me kub waqt beet gaya ki pata hi nhi chala or pustakalay me baat na krne ki hidayat ko toh jese aaj najar andaj hi kar diya tha.
Khair jane ka waqt ho chala lautte waqt bhi wese hi bhari kadmon se wo ghar ko chali jese school se aai thi... Sub kuch bhool kar, sub peeche chord kar. Use aaj bhi nahi pata chala kitni mohobbat hai muje jese school me nhi laga. Kese keh deti ki dekhte hi yaad aa gye the tum. Wesi hi chanchal ankhe wese hi ghungharale baal bus lambe or duble ho gye ho raang bhi khila hua sa hai ... Kaisey keh deti aaj bhi tum per neela rang jachta hai. Kaisey
Jate waqt usne palat kar bhi nhi dekha aaj bhi use pata nhi chala ki muje mohobbat hai toh sirf usse wesi hi natkhat bate, hasi thithkoliya...
Aaj bhi nhi badli wo ladki...
Kaisey keh deta me aaj ... Kaise !

Written by Anchita Srivastava
#netkingmanish ©

No comments:

Post a Comment